Quantcast
Channel: शोभा रानी
Viewing all 215 articles
Browse latest View live

From Maa's Kitchen: Hareera

$
0
0
Benefit of Hareera: Haddiyon ki mazbooti, maa ka doodh supachya banata hai, maa-bache ka pet theek rakhta hai

Ingredients:

Haldi: 200 gm
Sonth: 200 gm
Ajwain: 200 gm
kalaunji: 100 gm
gud: 500 gm
Ghee: 250 gm
Sookha nariyal: 50 gm
Bhuna makhana: 50 gm
Chhuhare: 50 gm
Badaam: 50 gm
Kaju: 50 gm

Method:

Sonth aur haldi ko alag alag pees len. Kalaunji ko raat me bhigo len aur pees len. Ajwain bhi pees len. Kadhai me ghee daalen aur haldi, sonth aur ajwain daalen. 10 min tk bhoon len dheemi anch pe. fir pisa hua kalaunji daal den. mixture ko dark brown hone tak bhunne den. jab ghee chhodne lage to gud chhote tukdon me daal den. 5-7 min fir bhunen. gud ke melton hone tak mixture chalaate rahen fir gas band kar den. saare kate mewe daal den aur dhak den.

hogya apka hareera taiyaar :)

Ram ji ki shaadi

$
0
0

Jab Raamji shaadi karke aa rahe the to unki maa-Kaushalya mata Ram ji se unki shaadi ki vyakhya karti hain

Naina bhari dekh lun byah prabhu toor
Aaj pural manorath mor
Kinka haath nariyal kinka dubi-dhan
Kinka haath bataawar paan
Saasu hath nariyal sarhaj dubii dhan
Saali hath batawar paan

Bidai ka geet

$
0
0


Nimua tale dola rakh de musafir
Ayil saawan ki bahaar re
Amma ke robe se nadiya bahat hai
Papa ke robe se taal re
Bhaiya ke robe se bheege more chunariya
Bhabhi ke man anand re
Nimua tale dola…

Amma kahe beti nis din ayin ha
Baba kahe chhau maas re
Bhaiya kahe behne avsar de ayiha
Bhabhi kahe kaun kaaj re
Bhaiya kahe behna…
Nimua tale dola…

Sharnaagat Paal Kripaal Prabhu

$
0
0

Sharnagat paal kripal prabhu
Humko ek aas tumhari hai

Tumhare sam doosaraur nahi
Nahi deenan ke hitkaari hai

Sudhi let sada sab jeevan ki
Ati hi karuna vistaari hai

Jab naath daya kari dekhat hain
Chut jaat vyatha sansaari hai

Ganeshji Arti

$
0
0



gananayaka Ganadaivataya Ganadaksha Yadhimahi 

guna Shariraya Guna Manditaya Guneshanay Dhimahi 

gunaditaya Gunadhishaya Guna Pravishtaya Dhimahai 
ekadantaya Vakratundaya Gauri Tanahaya Yadhi Mahi 
gajeshanaya Bhalchandraya Shree Ganeshaya Dhimahi 
{ekadantaya Vakratundaya Gauri Tanahaya Yadhi Mahi 
gajeshanaya Bhalchandraya Shree Ganeshaya 
dhimahi}-chorus 



gaanachaturaya Ganaapranaya Gaanantaratmane Gaanot 

sukhay 
gaanamattaya Gannott Sukha Mana Se 
guru Pujitaya, Guru Daivataya, Guru Kulasthaine 
guru Vikramaya, Guiyya Pravaraya Gurave Guna Gura Ve 
gurudaitya Kalakchetre, Guru Dharma Sada Rakdhyaya 
guru Putra Paritratre Guru Pakhand Khand Khaya 
geet Saraya, Geet Tatvaya Geet Kotraya Dhimahi 
gudha Gulfaya, Gandha Mattaya Gojaya Pradaya Dhimahi 
gunaditaya Gunadhishaya Guna Pravishtaya Dhimahai 
ekadantaya Vakratundaya Gauri Tanahaya Yadhi Mahi 
gajeshanaya Bhalchandraya Shree Ganeshaya Dhimahi 
{ekadantaya Vakratundaya Gauri Tanahaya Yadhi Mahi 
gajeshanaya Bhalchandraya Shree Ganeshaya 
dhimahi}-chorus 



{gandharva Rajaya Gandhaya Gandharva Gana Shravan 

pranaime 
gaadha Anuragaya Granthaya Geetaya Grantatarth 
tanmaiye Gurileee…. 
gunavateee.. Ganapatayeee..}- Chorus 
granta Geetaya Granta Geyaya Grantanta Ratamane 
geeta Leenay Geetaa Shrayaya 
geetavadya Vadya Padave, Dheya Charitaya Gaya Gavaraya 
gandharvapri Krupe Gayakadhina Vighra Haya 
gangajala Pranayavate Gauri Stanamadhaya Gauri Hridaya 
nandanaya 
gaur Bhanu Sukhaya Gauri Ganeshwaraya 
gauri Pranyaya Gauri Pravanaya Gaur Bhavaya Dhimahi 
ohasa Hastraya Gowardanaya Gopa Gopaya Dhimahi 
gunaditaya Gunadhishaya Guna Pravishtaya Dhimahai 
ekadantaya Vakratundaya Gauri Tanahaya Yadhi Mahi 
gajeshanaya Bhalchandraya Shree Ganeshaya Dhimahi 

Chaitra Navratra me Maa Shakti ki Aradhana

$
0
0
Sarva Mangal Maangalya, Shive Sarvaarth Saadhike
Sharanye triyambike Gauri Narayani Namostute



Maa ke Nau Roop

Prathamam Shailputri, Dwitiyam Brahmchaarini, Tritiyam Chandraghanteti, Kushmaandaa Chaturthakam
Panchamam Skandmaateti, Shashtham Kaatyayani, Saptamam Kaalratri Mahagauri Chaastamam
Nauvamam Siddhidaatri cha, NauDurga Prakritita.


Maa Ke Battis Naam ki Maala (Bhaymukti Mantra)

Katha: Mahishasur vadh ke baad devtaon ne Maa se praarthana ki ki Maa jab kabhi humpar (sansaar par) jab kabhi sankat aye, to hum apka aahwahan kaise karen jise sunkar aap hume yathaa sheeghra prasann ho darshan dengi... Yadi yah gopniya hai to bhi maa hume bataane ki kripa karen... Itna sunkar Maa ne kaha ki sansaar me mere battis naam ki maala se meri stuti karega, to saari vipatti kaa vinash swayam hi hoga. Iske samaan teeno lokon me doosri koi stuti nahi hai.

Durga Durgati Shamani...Durga Padvi Niwarini
Durg Machhedini...Durg Saadhini Durg Naashini
Durgat odhharini...Durg Nihantri Durgamapaha
Durgam gyanada...Durg daitya Lokdavanala
Durgama Loka...Durgamatm Swarupini
Durga Maargprada...Durgamvidya Durgamaashrita
Durgam Gyansansthana...Durgmadhyaan Bhaasini
Durgmoha Durgmagaa...Durgmaarth Swarupini
Durgama Sursanhantri...Durgamayudh dhaarini
Durgmaangi Durgmataa..Durgamyaa Durgameshwari
Durgbheema Durgbhaama Durgama Durgdaarini
Naamavali mimaamyastu Durgaya mam maanavah

Maa Bhagwati Stotram

$
0
0



Namaste Astu Mahamaaye Shreepeethe Surpoojite
Shankh Chakra Gadaa Haste Naarayani Namostute

Namaste Singhwaahine Kolaasur Bhayankari
Sarvapaap Hare Devi Narayani Namostute

Sarvagye Sarvavarde Sarvadusht Bhayankari
Sarvadukh Hare Devi Mahadevi Namostute

Sidhhi Budhhi Prade Devi Bhakti Mukti Pradaayani
Mantra Moorte Sadaa Devi Narayani Namostute

Aadyant Rahite Devi Aadya Shakti Maheshwari
Yogaje Yogshambhute Narayani Namostute

Sthool Sookshm Maharaudreya Mahashakti Mahodare
Mahapaap Hare Devi Narayani Namostute

Shwetaambar Dhare Devi Naanaa [A]lankaar Bhooshite
Jagat Sthite Jaganmaatar Mahalakshmi Namostute

Mahaa Lakshmyashtak Stotram yah Pathet Bhaktimannarah
Sarvasidhhim Vaapnoti Raajyam Prapnoti Sarvada

Ekkaale Pathennityam Mahaapaap Vinaashanam
Dwikaalamyah pathenityam Dhan Dhaanya Samanvitah

Trikaalam Yah Pathennityam Mahashatru Vinaashanam
Naarayani Bhavennityam Prasanna Varda Shubhaa



Jagdambe Bhawaani Bhajan

$
0
0



Jagdambe Bhawaani ke dwaare chali
Aadya Shakti Bhawani ke dware chali
Maa Bhawani ke darshan ko dware chali

Aayi aasin maheena machi harbadi
Aagyi Maa ke darshan ki paawan ghadi
Man me dheeraj nahi har pal yun hi lagi
Jaise Mata bulaati ho humko khadi

Jagdambe Bhawaani ke dwaare chali...

Chal pade man me leke umangen kayi
Maa se milne ki aasha lagi hai nayi
Paon chhoone na dengi jo mata hume
Dhanya samjhenge gar dhool lag hi gayi

Jagdambe Bhawaani ke dwaare chali...


Maa milengi to maangenge hum ye vachan
Tere baalak hain maa humko lelo sharan
Dena vardaan maateshwari hume
Tere charnon me jeevan aur maran

Jagdambe Bhawaani ke dwaare chali...



Jagdamba Bhajan (In Maithili) [with hindi translation]

$
0
0
Jagdamb ahin avlamb hamar
Hey Maaye ahan bin aas kekar
(Hey Jagdambe Maa! Aap humare sarparast hain. apke bina mai kiska aasra karun)

Jon maaye hamar dukh nahin sunab
To Jaaye kahan kekara kahab
Hum padlauhan beech bhamar
Hey maaye ahan bin aas kekar
(Yadi maa ap mera dukh nahi sunengi to mai kahan jaakar kisko bataunga...Hum beech bhanvar me fase hue hain...apke bina koi dusra aasra mera nahi hai)

Jagadamb ahin avlab hamar....

Hum bhari jag se thukrayal chhee
Mata ke sharan me aayal chhee
Karu maaf janani apraadh hamar
Hey maaye ahan bin aas kekar
(Hey Maa!Hum jag se thukraye hue hain, apke sharan me aye hain...humare sare apradh paap ko kshama kar dijiye...kyunki mera koi aur aasra nahi hai)

Jagadamb ahin avlab hamar....

Taara kalyani bhawani chhee
Kaali Durga jagtaarani chhee
Achhee putra pradeep banal tuvar
Hey Maaye ahan bin aas kekar
(Aap to Tara hain, Kalyani hain, Bhawaani hain, Kaali Durga aur Jagtaarini bhi aap hi hain...apke rehte hue main anaath kaise ho sakta hun...isliye maa ap hi ab mera aasra hain)

Jagadamb ahin avlab hamar....

(This bhajan was heard by my mother, Chandrakala Devi, in a temple being sung by a poor boy crying in front of the village temple.)

Welcoming Maa Bhagwati (In maithili with translation)

$
0
0
Sab koi pujito maiyya ann ann devta
Hame pujibo charan tuhaar hey
(Sab koi alag alag devtaon ko poojte hain..par mai to bas apke charno ko hi poojti hun)

Jaun Hame Janitaun mero maiyya aiti
Agar Chanan Ghar Dheri Taun Hey
(Agar mai yah janti ki meri maiyya ane wali hain to mai apne ghar ko dhoop aur chandan se sajaati)

Sone ke chowki maiyya baithne ko detaun
Doodh laaye charan pakhaari taun hey
(sone ki chowki par maa ko bithaati aur doodh se unke charnon ko dhoti)

Laal chudi aur lal chunar se maiyya ji ko aj sajaito hey
kanchan thaal kapoor ki baati maiyya ji ki aarti utaari taun hey
(Lal choodi aur chunar se maa apko sajaati main, sone ki thaal me kapoor ki baati se apki aarti utaarti mai)

Chhappan prakaaar maiyya ji ko bhog lagaiton
Achara pasaari yash maangi taun hey
(Chhappan vyanjanon ka apko bhog lagati maiyya aur apne aanchal ko pasaar apse yash ka ashish mangti)

Jaun hame janitaun meero maiyya aiti.....


Ma Bhagwati Stotram

$
0
0
Jai Bhagwati Bhawani Namo Varde,
Jai Paap Vinaashani Bahu Fal De
Jai Shumbh Nishumbh Kapaal Dhare
Pranmamitu Devi Naraati Hare

Jai Chandra Diwakar Netra Dhare
Jai Paawak Bhushit Vaktra Vare
Jai Bhairav Deh Nileen Pare 
Jai Andhak Daitya Vishesh Kare

Jai Mahish Vimardini Shoolkare
Jai Lok Samastak Paap Hare
Jai Devi Pitamah Vishnuh Nate
Jai Bhaaskar Shakra Shiro Avnate

Jai Shanmukh Saayudh Ishnute
Jai Saagar Gaamini Shambhunute
Jai Dukh Daridra Vinaash Kare
Jai Putra Kalatra Vivridhhi Kare

Jai Devi Samast Shareer Dhare
Jai Naak Vidarshini Dukh Hare
Jai Vyaadhi Vinaashini Moksha Kare
Jai Vaanchhit Daayini Sidhhi Vare

Etad Vyas Kritam Stotram Yah Pathenyatah Shuchih 
Grihe Vaashudh Bhaaven Preeta Bhagwati Sadaa

-------------------------------------------------------------------------------------------------------

Durga Kavach (In Sanskrit)

$
0
0
Om Sarvamangal Maangalya Shive Sarvaarth Saadhike
Sharanyetra Ambike Gauri Narayani Namostute 



Kavach Praarambhah

Om Namashchandikaaye Maarkandeya Uvaach.
Om Yadguhyam Parmam Loke Sarva Rakshaakaram Nrinaam
Yann Kasya Chidaakhyaatam Tanme Broohi Pitamah
Brahmovaach.
Asti Guhyatamam Vipra Sarva Bhootopkaarkam 
Divyaastu Kavacham Punyam Tachhrinushva Mahaamune

Prathamam Shailputri cha Dwitiyam Brahmacharini
Tritiyam Chandraghanteti Kushmaandeti Chaturthakam 
Panchamam Skandmaateti Shashtham Kaatyayneeti cha
Saptamam Kaalraatriti Mahagauriti Chaastamam
Navamam Sidhhidaatri cha Navdurgaah Prakeertitaah

Uttaanyetaani Naamaani Brahmanaiv Mahaatmana
Agninaa Dahyamaanastu Shatru Madhye Gato Rane
Vishme Durgame Chaiv Bhayaartaah Sharanam Gataah
Na Teshaam Jaayate Kinchidashubham Ransankate

Naapadam Tasya Pashyaami Shokdukh Bhayam Na hi
Yaistu Bhaktya Smritaa Noonam Teshaam Vridhhih Prajaayate
Ye Twaam Smaranti Deveshi Rakshase Taann Sanshayah
Pretsansthaa tu Chamunda Vaarahi Mahishaasanaa

Aindri Gajsamaa Roodhaa Vaishnavi Garudaasana
Maheshwari Vrishaa Roodhaa Kaumari Shikhi Vaahanaa
Lakshmi Padmaasana Devi Padmahastaa Haripriya
Shwetroop Dharaa devi Ishwari Vrishvaahanaa

Braahmi Hans Samaaroodhaa Sarvaabharan Bhooshita
Ityetaa Maatarah Sarvaah Sarvayog Samanvitaah
Naanaa Bharan Shobhaadhhyaa Naanaa Ratno Pashobhitaa
Drishyante Rath Maaroodhaa Devyah Krodh Samaa Kulaah

Shankham Chakram Gadaam Shaktim Halam cha Muslaayudham
Khetakam Tomram chaiv Parshum Paashamev cha
Kuntaayudham Trishulam cha Shaargam Maayudhmuttamam
Daityaanaam Dehnaashaay Bhaktaanaam Bhayaay cha

Dhaarayantya Yudha Neetham Devaanaam cha Hitaay Vai
Namaste Astu Mahaaraudre Mahaaghor Paraakrame
Mahaabale Mahotsaahe Mahaabhay Vinaashini 
Traahimaam Devi Dushprekshye Shatrunaam Bhayvardhini

Praachyaam Rakshatu Maamaindri Aagneyyaam agni Devta
Dakshinevatu Vaaraaahi Nairityaam Khangdhaarini
Prateechyaam Vaaruni Rakshed Vaayavyaam Mrigvaahini
Udichaam Paatu Kaumaari Aishaanyaam Shooldhaarini

Oordhwam Brahmaani Me Rakshedhastaad Vaishnavi Tathaa
Evam Dashdisho Rakshechaamunda Shavvaahaa
Jaya me Chagratah Paatu Vijaya Paatu Prishthatah
Ajitaa Vaamparshwe Tu Dakshine Chaaparaajita

Shikha Mudyotini Rakshedumaa Moordhni Vyavasthitaa
Maalaadhari Lalaate chabhruvou rakhshed Yashasvini
Trinetra cha Bhruvormadhye Yam Ghantaa cha Naasike
Shankhini Chakshushor madhye Shrotrayor Dwaarwaasini

Kapolau Kaalika Rakshet Karn Mooletu Shaankari 
Naasikaayaam Sugandhaa Cha Uttaroshthe cha Charchika
Adhare Chaamrit Kalaa Jihvayaam cha Saraswati
Dantaan Rakshatu Kaumaari Kanthdeshe Tu Chandika

Ghantikaam Chitraghantaa cha Mahaamaaya cha Taaluke
Kaamaakshi chibukam Rakshed Vaacham me Sarvamangalaa
Greevaayaam Bhadrakaali cha Prishthvanshe Dhanurdhari
Neelgreeva Bahih Kanthe Nalikaam Nalkoobari

Skandhyoh Khangini Rakshed Baahu Me Vajradhaarini
Hastyo Dandini Rakshedambika Changuleeshu cha
Na Khaachhooleshwari Rakshet Kukshou Rakshetkuleshwari
Stanau Rakshen Mahaadevi Manah Shok Vinaashini

Hridaye Lalita Devi Udare Shooldhaarini
Nabhau cha Kaamini Rakshed Guhyam Guhyeshwari tathaa
Pootna Kaamika Medhhram Gude Mahishwaahini
Katyaam Bhagwati rakshejjaanuni Vindhyavaasiniornar

Janghe Mahaabalaa Rakshet Sarvakaam Pradaayini
Gulfyornaarsinghi cha Paadprishthhe tu Taijasee
Paadaanguleeshu shree Rakshet Paadaadhastal Vaasini
Nakhaan Danshtraakaraali cha Keshaansh chaivordhva Keshini

Romkoopeshu Kauberi Tvacham Vaageeshwari Tathaa
Rakt majaa Vasaa maansaanyasthi Medaamsi Paarvati
Antraani Kaalraatrish cha Pittam cha Mukteshwari
Padmaavati Padmakoshe Kafe Choodamnistathaa

Jwaalaamukhi Nakhjwaalaam Bhedyaa Sarvasandhishu
Shukram Brahmaani me Rakshechhaayaam Chhatreshvareem Tathaa
Ahankaaram Manobudhhim Rakshenme Dharmshaarini
Praanaapaanau tathaa Vyaanmudaanam cha Samaankam 

Vajrahastaa cha me Rakshetpraanam Kalyaanshobhana
Rase Roope cha Gandhe cha Shabde Sparshe cha Yogini
Satwam Rajastamashchaiv Rakshe Narayani Sadaa
Ayu Rakshatu Vaaraahee Dharmam Rakshatu Vaishnavi

Yashah Keertim cha Lakshmim cha Dhanam Vidyaam cha Chakrini
Gotramindraani me Rakshetpashoonme Raksha Chandike
Putraan Rakshen Mahalakshmeer Bhaaryaam Rakshatu Bhairavi
Panthaanam Supathaa Rakshenmaargam Kshemkari Tathaa

Raajdwaare Mahaalakshmir Vijaya Sarvatah Sthitaa
Rakshaaheenam tu Yatasthaanam Varjitam Kavchen Tu
Tatsarvam Rakshmedevi Jayanti PaapNaashini
Padmekam Na Gachhetu Yadee chhechhubh Maatmanah

Kavchenaavrito Nityam Yatra Yatraiv Gachhati
Tatra Tatraarth Laabhashcha Vijayah Saarva Kaamikah
Yam Yam Chintyate Kamam Tam Tam Praapnoti Nishchitam
Parmaishwarya Matulam Prapsyate Bhootale Pumaan

Nirbhayo Jaayate Martyah Sangraameshwa Parajitah
Trailokye Tu Bhavetpujyah Kavchenaavritah Pumaan
Idam tu Devyaah Kavcham Devaanaam api Durlabham
Yah Pathet Prahto Nityam Trisandhyam Shradhyaan vitah

Devi Kalaa Bhavetasya Trailokye shwaparaajitah
Jeeved Varshshatam Saagram pamrityu vivarjitah
Nashyanti Vyadhyan Sarve Lootavisfot Kaadayah
Sthaavaram Jangam Chaiv Kritrimam Chaapi Yadvisham

Abhichaarani Sarvaani Mantra Yantraani Bhootale
Bhoocharaah Khecharaash Chaiv Jaljaashchop Deshikaah 
Sehjaa Kuljaa Maalaa Daakini Shaakini Tathaa
Antariksh charaa ghoraa Daakinyashch Mahaabalaah

Grah Bhoot Pishaachaashch Yaksh Gandharv Raakshasaa
Brahm Raakshas Vetaalaah Kooshmaandah Bhairvaadayah
Nashyanti Darshanttasya Kavche Hridi Sansthite
Manonnatir Bhavedra Gyaste Jo Vridhhi Karam Param

Yashasaa Vardhate So api Keerti Mandit Bhootale
Japet Saptashatim Chandeem Kritva tu Kavacham Pura
Yaavad Bhoomandalam Dhatte Sashail Vankaananam 
Taavat Tishthati Medinyaam Santatih Putra Pautrikee

Dehaante Paramam Sthaanam Yat surairapi Durlabham
Praapnoti Purusho Nityam Mahaamaya Prasaadatah
Labhate Parmam Roopam Shiven Sah Modate
Om Iti Shree Devayaah Kavcham Sampoornam

------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Shabri Prasang

$
0
0

Sarsij Lochan Baahu Visaala Jataa Mukut Sir Ur BanmaalaShyaamal Gaur Badan Dou Bhai Shabri Charan Dhari Laptai




Shabri ek bheelni (hunter) jaati ki stree thi. Unke Pita ne unke vivaah ke samay kayi jaanvaron ka shikaar kiya taaki bhojan me use parosaa jaye par ye dekhke Shabri, jo bachpan se hi pashu vadh ke khilaaf thin aur saatvik vichaaron ki thi, ko accha nahi lagaa aur unhone apna ghar tyag diya. Tab jungle me bhatakte hue unhe Matang Rishi ke ashram, jo pampa nadi ke kinaare sthit tha, me sharan mili jahan vo Rishiyon ki seva aur ashram ke kaam kartin aur Prabhu ka dhyaan kartin.

Marne se pehle Matang Rishi ne Shabriji ko ye kaha ki vo to itne punyatma nahi ki Bhagwan Shree Ram se mil paen par Shabri ki kutiya me Bhagwaan Shri Ram, anuj Lakshman sahit, apni bhaarya Sita ki khoj me  avashya ayenge aur unhe darshan denge. Bohot saal tak Shabri unke intezaar me roz apni kutiya ko saaf karti, van se ber todke laati aur unhe chakhke meethe beron ko ek done me sajake rakhtin taaki Bhagwan ko koi bhi khatta ber na mile. Vo Kutiya ke maarg ko foolon se sajati aur matke me shudh jal bharke prabhu ke aane ki prateeksha kartin.

Saalon tak intezaar karne ke baad vo din aya jabb Shri Ram aur Lakshman Shabri ki kutiya me padhaare. Unhe dekh Shabri ki khushi ki seema na rahi aur vo bhaav vihval ho uthin, Unhone Prabhu ke charnon ko bade hi prem bhav se dhoya aur ekatrit kiye beron ko ek ek kar chakhe Prabhu ko khilaane lagin. Praabhu ko prem magn hue Shabri ke joothe ber khaate dekh Lakshman ji ko ashcharya hua aur bura bhi lagaa aur unhone vo ber nahi khaye. Tab Ramji ne unhe samjhaaya ki Shabri ka aisa karna unki shraadha aur prem ko dikhata hai.

Prabhu Shri Ram ko bhog lagaane ke baad Shabri ne Ramji se poocha ki Prabhu, mai to karm se, jaati se aur Naari hone ke kaaran adham hun, fir aise mere kaun se pichle janmon ke karm the jo apne mujhe darshan diye Prabhu. Tab Prabhu Shri Ram ne kaha ki mai Jaat Paat in sab se upar ek Bhakt ki Navdhabhakti dekhta hun: Shravan, Kirtan, Smaran, Vandan, Paadsevan, Archan, Daas, Sakha tatha Aatmanivedan. Inme se ek bhi prakaar ki bhakti kisi manushya me ho to mai uska ho jata hun. Fir tumme to nau ke nau bhaktiyan vidyamaan hain. 

Prabhu ne Shabri se aise vachan kehkar fir apni Bhaarya Sitaa tak pohochne ke liye unse maarg poochha, tab Shabri ne unhe Vaanar Raaj Sugriv ke baare me bataya jo apne saathiyon ke saath Sita ji ki khoj me unki madad kar sakenge. Ye sunkar Prabhu Shri Ram aur Lakshman Sugriv ki khoj me aage badh gaye.


Mere ghar Ram ayihain na
Mere Prabhu Ram ayijhain na
Ram ayihain na sang me 
Lakshman Bhaiyya ayihain na
Sita Maiyya ayihain na 
Mere Prabhu Ram ayihain na
Shabri ke ber sudaama ke tandul 
ruchi ruchi bhog lagayihain na

Shri Ram Varnan Shlok (From Ramayana)

$
0
0


Neelaambuj Shyamal Komalaang Sitaa Samaaropit Baam Bhaagam 
Paanow Mahaa Saayak Chaaru Chaapam Namaami Raamam Raghuvanch Naatham

(Neelvarn Saavwale Komal, Jinke Baayen ang me Sita ji Viraajti hain, Jinke hast me dhanush baan sushobhit hain aise Prabhu shree Ram ji, jo Raghuvansh ke naath hain, unko mai naman karti hun)

Om: Prarthana Ka Mahatva

$
0
0
Praarthana premopasana ki sarvottam vidhi hai Antah kaaran se saprem nivedan, stuti hi sachi prarthana hai jiske maadhyam se Bhagwaan tak (jo Bhaav-vash hain) pohcha ja sakta hai. Prarthana me aartata (kaarunik pukaar) aavashyak hai. Yah aartata  hi vyakti ko bhagwaan ka kripa paatra banaati hai. Jiski karun-kaatar pukaar sunkar ve apne ko rok nahi paate hain. 


Draupadi ki akhand vishwaas bhari guhaar ki "Hey Madhusudan! Kans-Nikandan! Nand-Nandan! Haro dukh bhaari. Hun sharnaagat, jeevan jeev niraash sabhi se hui banwaari." Jaise hi Prabhu Shri Krishna ke kaano me padi, vaise hi unka Vastraavataar hua. Pal me cheer badhaa Krishna Muraari ne unpar kripa ki.  
Aise bhakt-vatsal Prabhu ke charnon me hume nirantaar bhakti-rat rehna chahiye.

Vishwesh tumhi, dhyey tumhi ho, sansaar sagar me yahaan
Ek tumko bhoolkar fir Moksh Praapya fir bhala kahan
Vaani humari Prabhu aapke gungaan nitya kiya kare
aapke charnaarvind me man chanchareek raha kare
aap bhakton ki vipatti door kshan bhar me karen
aapki shubh moortiyon ka nitya darshan hum karen
Hey Bhakt-Bhay haarin Prabho! Hey Yog-Chit Chaarin Prabho!
Karte rahen in sat-karmon se nitya aapka vandan Prabho

(Resource: Kalyaan)

Jai Durge Maharani

$
0
0
Namaste Astu Mahaamaye Shri peethe surpoojite
Shankh Chakra Gadaa Haste Narayani Namostute

Jai Jai Jai Durge Maharani
Adya Shakti Jag Vidit Bhawaani
Jai Jai Jai Durge Maharani

Vishwa Ko Mohit Karne Wali
Teeno Lokon Me Rehne Wali
Jai Jagjanani Jai Kalyaani
Jai Jai Jai Jagdamb Bhawani

Paapon Ka Naash Karne Waali
Dukhon Ko Har Lene Waali
Singh Waahini Jai Maa Bhawani
Jai Jai Maa Durge Maharani

Sabki Jholiyan Bharne Waali
Sabpar Kripa Barsaane Waali
Vardaayani Maa Shera Waali
Jai Jai Jai Durge Maharani

Aadya Shakti Jag Vidit Bhawaani
Jai Jai Jai Durge Maharani

Uncha Sajaa Darbaar (Ambe Bhajan)

$
0
0


Uncha sajaa darbaar hai Maa Ambe tumhara
Ambe Tumhara Maa Jagdambe tumhara
Chalte chalte thak na jaun pakdo haath humara
Uncha sajaa....

Ab to in aankhon me tera roop basaya
Tera naam na lun to kis kaam ki hai kaaya
Tu hi maa jeevan ki khivaiya tu hi hai kinaara
Uncha sajaa darbaar...

Ek araj maa meri chaahun tumhe sunana
Teri chaukath hi hai ab mera thikaana
Doobte is jeevan ko maiyya tera hi hai sahara
Uncha sajaa darbaar....





Satguru Sharnam

$
0
0


Har khushi mil jaegi guru sharan aane ke baad
Kuch na bigdega tumhara charno me jhuk jaane ke baad

Prem ke manzil ke raahi kasht paate hain zaroor-2
Beej falta hai sadaa mitti me mil jaane ke baad

Har khushi mil jaegi guru...

Fool se jaakar ke poochhi chhayi hai kitni bahaar-2
Raat bhar kaaton pe soya daali par aane ke baad

Har khushi mil jaegi guru...

Dekh kar kali nisha ko ae bhanwar mat ho niraash-2
Band kaliyan fir khilegi raat dhal jaane ke baad

Har khushi mil jaegi guru...

Prem karne se kaam nirmal naam le ghanshya ka-2
Sookhi bagiya fir khilengi ritu badal jaane ke baad

Har khushi mil jaegi guru...

Ath Ram Stuti (From Ramayan)

$
0
0


Mo Sam Deen Na Deenhit Tum Samaan Raghuveer As Vichaari
Raghuvansh Mani Harahun Vishambhav Bheer

Shri Ram Chandra kripalu bhajman haran bhav bhay daarunam 
Navkanj lochan kanj mukh kar kanj pad kanjaarunam

Kandarp aganit amit chhavi nav neel neeraj sundaram
Pat peet maanahu tarit ruchi suchi naumi Janak sutaavaram

Bhaju deen bandhu dinesh daanav daitya vansh nikandanam
Raghunand anand kand kaushal chand Dashrath nandanam

Sir mukut kundal tilak chaaru udaar ang vibhushanam
Ajanubhuj sar chaap dhar sangram jit khardushanam

Iti vadati Tulsidas Shankar shesh munimanranjanam
Mam hriday kanj nivaas karu kaamaadi khal dal ganjanam

Man jaahi raache humilehun so var sahaj sundar saavaro
Karuna nidhaan sujaan sheel saneh jaanat raavaro

Ehi bhaanti Gauri asees suni Siya sahit hiya harshiyali
Tulsi bhawani pooji puni puni mudit man mandir chali

Jaani Gauri anukool Siya Hiya, Harshu Na jaayi kahi
Manjul mangal mool vaam ang farkan lage

Shri Ram Chandra kripalu bhajman haran bhav bhay daarunam 
Navkanj lochan kanj mukh kar kanj pad kanjaarunam

Siya Pati Ram Chandra ki Jai
.........................................................................................................................................................

Hanuman Ji ke vaanar mukh ka rahasya

$
0
0


Shree Ram ji ne ek din Hanuman ji se prasann hokar kaha, "Hanuman tumne vaanar ka shareer hi kyun meri seva ke liye chuna?"

Ispar Hanuman ji ne kaha , " Prabhu, aapne Naarad ji ko vaanar mukh dekar bhav bandhan se ubaara tha , isliye meine socha yadi mein khud vaanar ban jaonga , tab mujhe maaya baandh nahi paayegi aur mein aapki seva aur bhakti dwara aapko prasann karoonga, tatha prem ka amrit  paaonga."

Prabhu ne kaha, "Hanuman tum Shankar ji ke avtar ho, tatha leela dwara hi meri seva ka bhaar liye ho, mein tumse ati prasann hoon, tatha vardaan deta hoon, ki kalyug mein jo tumhara naam aadar sahit lenge, unki sabhi manokaamnayein poorna hongi."
Viewing all 215 articles
Browse latest View live